Monday 10 August 2015

Man tu shudam, Tu man shudi - Amir Khusro




[clip_image001.gif]


Mun tu shudam, tu mun shudi,
Mun tan shudam, tu jaan shudi;
Taakas na goyad, baad azeen,
Mun deegaram tu deegari;


I have become you, and you me,
I am the body, you soul;
So that no one can say hereafter,
That you are are someone, and me someone else.



~ Hazrat Amir Khusro R.A.



Friday 18 April 2014

LIFE!

Dukh sukh tha ek sabka, Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana ,Ek yeh bhi hai zamaana

Sorrows and happiness were one for all ,whether it be your own or some one else's
That was that era, Now this is this era

Dada hai aate the jab ,Mitti ka ek ghar tha
Choron ka koi Khatka ,Na dakuon ka dar tha
Khaate the rookhi sookhi ,Sote the neend gehri
Shaamein bhari bhari thi, Aabaad thi dupehri
Santosh tha dilon ko, Maathe pe bal nahi tha
Dil mein kapat nahi tha, Aankhon mein chhal nahi tha
Thay log bhole bhale, Lekin the pyaar wale
Duniya se kitni jaldi, Sab ho gaye ravana

In the era of the grand dad, had a house made of mud
No incidents of thieves, Nor threat of thugs
Used to eat whatever meager we got, but used to sleep peacefully
Evenings were full of events, Noon’s were fruitful
Hearts were always satisfied, with no worries on forehead
No one was spiteful, Nor one had any thoughts of revenge
Every one was naive, But full of love
So quickly from this world, Has everyone departed

Abba ka waqt aaya, Taleem ghar mein aayi
Taleem saath apni, Taaza vichaar laayi
Aage rawayaton se, Badne ka dhyaan aaya
Mitti ka ghar hata to, Pakka makaan aaya
Daftar ki naukri thi, Tankah tha sahara
Maalik pe tha bharosa, Ho jaata tha guzara
Paisa agar che kam tha, Phir bhi na koi gham tha
Kaisa bhara pura tha, Apna gareeb khana

Then came the era of the father, Education/wisdom came into the house
Along with education, New ideas came
To be more successful than other, was the aim/mission/vision
The mudhouse got replaced, By a solid house of iron/brick
Office work culture came, making us dependent on salary
Full trust was on Boss,  we could easily suffice
Even though we had little money, Even then there were no worries
How much it was fruitful/ full of achievement, Our house of poverty

Ab mera daur hai yeh, Koyi nahi kisi ka
Har aadmi akela, Har chehra ajnabee sa
Aansoon na muskuraahat, Jeevan ka haal aisa
Apni khabar nahi hai, Maya ka jaal aisa
Paisa hai martaba hai, Izzat waqar bhi hai
Naukar hain aur chaakar, Bangla hai car bhi hai
Zar paas hai zameen hai, Lekin sakoon nahi hai
Paane ke vaaste kuch, Kya kya pada gavaana

Now it is my era, No one is anyone's
Everyone is on his own, Every face is like a stranger's
Neither tears nor smiles, This is how life is
Don't even know oneself, Such is the magic of illusions
If one has money, then there is status, Respect can be bought
Their are servants and valets, Their are mansions and cars too
Have gold and land, but no peace
To attain something, What all has to be lost

Aye aane wali naslon, Aye aane wale logon
Bhoga hai humne jo kuch, Woh tum kabhi na bhogo
Jo dukh tha saath apne, Tumse kareeb na ho
Peeda jo humne jheli, Tumko naseeb na ho
Jis tarah bheed mein hum, Zinda rahe akele
Woh zindagi ki mehfil, Tumse na koyi le le
Tum jis taraf se guzro , Mela ho roshni ka
Raas aaye tumko mausam, Ekkiswi sadi ka
Hum to sukoon ko tarse, Tum par sukoon barse
Anand ho dilon mein, Jeevan lage suhaana

Listen! the future generations, Listen! the people of tommorow
The suffering we have gone through, may you never have to suffer
What grief we had with us, may it not come near you
The pain we went though, May you not get them
The way in the crowd, we survived alone
That crowded life [of togetherness], may no one snatch from you
Whatever way you pass through, May there be lots of light
May you adjust to the atmosphere of the 21st century
I have yearned for peace, May peace shower upon you
May you be happy, may life be beautiful)

Dukh sukh tha ek sabka, Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana, Ek yeh bhi hai zamaana

Sorrows and happiness were one for all ,whether it be your own or some one else's
That was that era, Now this is this era


- Zafar Gorakhpuri

Friday 22 November 2013

Saqi "The Cup‐Bearer"

Nasha Pila Ke Girana To Sub Ko Ata Hai
Maza To Jab Hai Ke Girton Ko Thaam Le Saqi

Everyone knows how to throw down people with intoxicants
The fun is to convert the intoxicated one to sanity, O cupbearer

Jo Badah Kash The Purane, Woh Uthte Jate Hain
Kaheen Se Aab-e-Baqaye Dawam Le Saqi!

Those who were the old winedrinkers are gradually departing
Bring the water of immortality from somewhere, O cupbearer

Kati Hai Raat To Hangama Gustari Mein Teri
Sehar Qareeb Hai, Allah Ka Name Le Saqi!

Your whole night has passed in tumult and clamor
The dawn is close remember God, O cupbearer!

~ ALLAMA IQBAL

Dhoom 3 - Poem

Bande Hain Hum Uske
Hum Pe Kiska Zor
Ummedon Ke Suraj
Nikle Charon Aur
Irade Hain Fauladi
Himati Har Kadam
Apne Haathon Kismat Likhne
Aaj Chale Hain Hum


Wednesday 6 November 2013

Sunday 27 October 2013

Pursish-E-Gam Ka Shukriya, Kya Tujhe Agahi Nahin!

Pursish-E-Gam Ka Shukriya, Kya Tujhe Agahi Nahin
Tere Bagair Zindagi Dard Hai, Zindagi Nahin

Daur Tha Ek Guzar Gaya, Nasha Tha Ek Utar Gaya
Ab Vo Muqam Hai Jahan Shikva-E-Berukhi Nahin

Tere Siva Karun Pasand Kya Teri Qayanat Main
Donon Jahan Ki Neamaten, Qimat-E-Bandagi Nahin

Lakh Zamana Zulm Dhaye, Vaqt Na Vo Khuda Dikhaye
Jab Mujhe Ho Yaqin K Tu Hasil-E-Zindagi Nahin

Dil Ki Shaguftagi K Sath Rahat-E-Maykada Gai
Fursat-E-Maykashi To Hai, Hasarat-E-Maykashi Gai

ZaKhm Pe ZaKhm Khake Ji, Apne Lahu Ke Ghunt Pi
Ah Na Kar, Labon Ko Si, Ishq Hai Dilagi Nahin

Dekh Ke Khushk-O-Zard Phul, Dil Hai Kuch Is Tarah Malul

Jaise Teri Khizan K Bad, Daur-E-Bahar Hi Nahin

~ Ehsan Danish