Wednesday, 24 October 2012

Kalam -e- Allama Iqbal



Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir! Nazar Aa Libas-e-Majaz Mein
Ke Hazar Sajde Tarap Rahe Hain, Teri Jabeen-e-Niaz Mein

Tarb Ashnaye Kharosh Ho, Tu Nawa Hai Mehram-e-Gosh Ho
Woh Surood Kya Ke Chaya Huwa Ho Sakoot-e-Parda-e-Saaz Mein

Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Isse, Tera Aaeena Hai Woh Aaeena
Ke Shikasta Ho To Aziz Tar Hai Nigah-e-Aaeena Saaz Mein

Dam-e-Tof Kar Mak-e-Shama Ne Ye Kaha Ke Woh Asar-e-Kuhan
Na Teri Hikayat-e-Souz Mein, Na Meri Hadees-e-Gudaz Mein

Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan Mili
Mere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Azo-e-Banda Nawaz Mein

Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan,  Na Woh Husn Mein Raheen Shaukiyan
Na Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi, Na Wo Kham Hai Zulf-e-Ayaz Mein

Jo Mein Sar Ba Sajda Kabhi Huwa To Zameen Se Ane Lagi Sada
Tera Dil To Hai Sanam Ashna, Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein

Tuesday, 23 October 2012

Kalam-e-Bulleh Shah


ashiq huwain, ishq kamawain
dil rakhain waang paharan hoo

sain sain badyan hazaar ghulamain
kar jawain baagh baharan hoo

mansoor jay chuk soli detay
jeray waqif kul asra-ran hoo

sajdayun sir chaen na bahoo
paye kafir kahin hazaran hoo

ashiq oyi haqeqi jera, qatal mashooq day man'nay
sir nu joray, munh na moray bhawain soo talwaran khan'nay

sacha ishq Hussain da bahoo
sir detay tay raaz na bhan'nay