Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir! Nazar Aa Libas-e-Majaz Mein
Ke Hazar Sajde Tarap Rahe Hain, Teri Jabeen-e-Niaz Mein
Tarb Ashnaye Kharosh Ho, Tu Nawa Hai Mehram-e-Gosh Ho
Woh Surood Kya Ke Chaya Huwa Ho Sakoot-e-Parda-e-Saaz Mein
Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Isse, Tera Aaeena Hai Woh Aaeena
Ke Shikasta Ho To Aziz Tar Hai Nigah-e-Aaeena Saaz Mein
Dam-e-Tof Kar Mak-e-Shama Ne Ye Kaha Ke Woh Asar-e-Kuhan
Na Teri Hikayat-e-Souz Mein, Na Meri Hadees-e-Gudaz Mein
Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan Mili
Mere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Azo-e-Banda Nawaz Mein
Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan, Na Woh Husn Mein Raheen Shaukiyan
Na Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi, Na Wo Kham Hai Zulf-e-Ayaz
Mein
Jo Mein Sar Ba Sajda Kabhi Huwa To Zameen Se Ane Lagi Sada
Tera Dil To Hai Sanam Ashna, Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein
No comments:
Post a Comment