Thursday 21 March 2013

Modern Era! Sarfaroshi ki tamanna ~ Gulaal version





Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai
Dekhna hai zor kitna bazu-e-kaatil me hai
Waqt aane pe bataadenge tujhe e aasmaan
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil me hai

Oh re Bismil kaash aate aaj tum Hindustaan
Dekhte ki mulk saara kya tashan, kya thrill mein hai
Aaj ka launda yeh kehta hum to bismil thak gaye
Apni aazaadi to bhaiya laundiya ke til mein hai.

Aaj ke jalson me Bismil ek gunga gaa raha.
Aur behron ka wo rela naachta mehfil mein hai
Haath ki khadi banaane ka zamaana lag gaya
Aaj to chaddi bhi silti englison ki mill mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai…
….kya batayen kya hamare dil me hai

No comments:

Post a Comment